How to download torrent files with the help of IDM ?

Aaj Hum is Article me sikhenge ki Kaise hum Torrent File ko IDM software k help se Fast Download Kr sakte hai

Torrent koi bhi file download karne ka ek behtar option hai lekin uski speed kafi kam hoti hai jisse torrent file download hone me bahut time lagta hai.
torrent me hamein sabse pehle ek torrent file download karni hoti hai fir ek software uTorrent download karna hota hai jo Torrent client hota hai. ise download karne ke baad pehle se download Torrent file par double click karke download start kar sakte hain. lekin ye bahut zyada time leta hai.

lekin hum koi bhi torrent file IDM ki help se download kar sakte hain, wo bhi torrent se jaldi. apko bas itna karna hoga jo bhi torrent file aap download karna chahte hain sabse pehle use download kijiye.


uske baad is Site pe jakar apni download ki hui torrent file ko upload kijiye. aur GO Free button par click kijiye.


Aisa karne ke baad agle page par niche Green colour ka download button aayega us par click kijiye.



iske baad ek window open hogi jisme apko Limited speed - Free par click karna hai. aisa karte hi apko torrent file IDM se download honi shuru ho jayegi.



Hope U like my post  Thank You...